Badla jo wakt ghehri rafaaqat badal gaee,
Suraj dhala tu saaye ki surat badal gaee
Ek muddat tak mein us ki zaroorat bana raha,
Phir yun huwa ke us ki zaroorat badal gae...
bhari mahfil me tanha mujhe rahna sikha diya
tere pyaar ne duniya ko jhootha kahna sikha diya
kisi dard ya khushi ka ehsaas nahi hai ab toh
sab kuchh zindagi me chup chap sahna sikha diya
Socha tha jab milenge raah chalte kabhi,
dil ki baaten juban par na aane denge,
hamne lab khole bhi nahi aur wo sab jaan gaye,
khaamoshiyon ko samazne ki wo adaa unme aaj bhi hai
dil ki baaten juban par na aane denge,
hamne lab khole bhi nahi aur wo sab jaan gaye,
khaamoshiyon ko samazne ki wo adaa unme aaj bhi hai
No comments:
Post a Comment